List of English Proverbs With Roman Urdu


31. Practice makes a man perfect.
kaam ko kaam seekhata hai.

32. An uninvited guest is seldom welcome.
maan na maan main tera mehman.

33. small in work, great in dispute.
kartoot to koi nahi aur larne ko tyar rehte ho.

34. To swallow a camel and to strain a goat.
masjid mein bethna aur namaz se parhez.

35. Evil pursuits bring evil repute.
koily ki dalali mein mounh kala.

36. Fine words butter no parsnips.
gur kehne se mounh meetha nahi hota.

37. If you can't bite then never show your teeth.
agr kuch kar nahi sakte to bari batein bhi mat karo.

38. A mountain is labour and a mouse be result.
khoda pahar nikla choha.

39. Catch the flying shadow and lose the substance.
sari hasil karne ke chakar mein insan aadhi bhi kho deta hai.

40. Knowledge is power.
ilm bari daulat hai.

41. Nothing is stable in the world.
dunia na paye dar hai.

42. One might be as well be hanged for a sheep as for a lamb.
aik qatal ki saza bhi phansi aur chaar qatal ki bhi phansi.

43. Better alone than in a bad company.
buri sohbat se insan akela he behtar hai.

44. A word spoken is like an arrow let fly.
bat kahi purani hoi.

45. Great braggarts little doers.
kaam kam batein zayada.

46. Who had God has all.
Khuda jisay mil jaye usay kisi cheez ki zarurat nahi hoti.

47. Fetters even of gold are heavy.
ghulami shah ki bhi buri.

48. As many mouths so many opinions.
jitne mounh utni batein.

49. A constant guest is never welcome.
qadar kho deta hai roz ka ana jana.

50. The more the sweet the more the reward.
jita gur dalo ge utna he meetha hoga.

51. It is good sometimes to hold the candle to devil.
Zarurat paray to gadhay ko bhi Baap banana parta hai.

52. Truth is ever green
Sach ko aanch nahi.

53. Truth is bitter.
Sach karwa lagta hai.

54.  A closed mouth catches no fly.
Bin roye maa bhi doodh nai deti.

55. I ask for a fork and you bring a rake.
Main maangta kuch hoon aur tum laatay kuch ho.

56. A pitcher that goes to the wall must break at last.
Chor aakhir kab tak chhupay ga.

57. It is never late to mend.
Subha ka bhoola agr shaam ko ghar aajaye to usay bhoola nahi kehte.

58. A wolf in sheep's clothing.
Baghal mein chhuri mounh mein raam raam.

59. A friend in need is a friend indeed.
Dost wahi jo musibat mein kaam aaye.

60. Pride hath a fall.
Gharoor ka sir nicha.

Post a Comment

We are pleased to see you here! Please mention your suggestion or query in the comments box below.