List of English Proverbs With Roman Urdu


1. All is fair in love and war.
mohabat aur jang mein sub kuch jaiz hai.

2. He is an apple of my eye.
wo meri ankh ka tara hai.


3. Say a good word for the others.
dosron ke liye kalma khair ka nikalo.


4. If wishes were horses, beggars would ride.
agr paise darakhton par ugtay to koi bhi gareeb na hota.

5. In at one ear and out at the other.
aik kan se suno dosray se nikal do. 

6. A blind man is no judge of colours.
andha kya jane basant ki bahar.

7. I have other fish to fry.
Mujhe aur bhi buhat saray kam karne hain.

8. A blind man's wife needs no paints.
naye kapray pehan kar jaon kahan aur baal banau kis ke liye.

9. Grapes are sour.
anghoor khatte hain.

10 Every dog is lion at home.
apne ghar kuta bhi sher hota hai.

11. God's mill grinds slow but sure.
Khuda ke ghar men der hai mgr andher nahi.

12. Physician heal thyself.
dosron ko nasihat aur khud miyan fazihat.

13. Two of a trade seldom agrees.
do sher aik jangal mein nahi reh sakte.

14. Let's see which way the wind blows.
aao halaat ka intezar karein.

15. An empty vessels make much noise.
khali bartan zayada bolta hai.

16. A black sheep spoils the whole flock.
aik machhli saray talab ko ganda kar deti hai.

17. Everyone knows his business well.
Jis ka kam usi ko sajhay.

18. Think before you speak.
pehle tolo phir bolo.

19. He blows his own trumpet.
wo apne mounh miyan mithu banta hai.

20. Sweep before your own door.
pehle apna gire ban jhank kar dekho.

21. Out of the frying pan into the fire.
aasman se gira khajoor mein atka.

22. Love and red nose can't be hidden.
ishq aur mushq chhupaye chhupta nahi.

23. Money for money and interests besides.
aam ke aam guthliyon ke daam.

24. All that glitters is not gold.
har chamakti cheez sona nahi hoti.

25. I would have the fruit not the basket.
aam khane se matlab hai ya pair gin'ne se.

26. Necessity is the mother of invention.
zarurat ijad ki ma hai.

27. Blood is thicker than water.
apna apna ghair ghair.

28. Ill news flies space.
buri khabar jaldi phelti hai.

29. Everyone praises his children.
apni aulad ko koi bura nahi kehta.

30. Put the saddle on the right horse.
jis ka qasoor hai usay pakro.

Post a Comment

We are pleased to see you here! Please mention your suggestion or query in the comments box below.