List of English Proverbs With Roman Urdu

91 The murder will be out.
Qatal chhup nahi sakta.

92. If I lose my honour, I lose myself.
Deen se gaya Dunia se gaya.


93. To build castles in the air.
Khayali Pulao pakana.


94. Look before you leap.
Koodnay se pehle dekho.


95. Money makes the mare go.
Daam banaaye kaam.


96. Even wall have ears.
Deewaron ke bhi kaan hote hain.


97. A wise enemy is better than a foolish friend.
Bewaqof dost se aqalmand dushman behtar hai.


98. A rolling stone gathers no moss.
Ghar ka kutta na ghar ka na ghaat ka.


99. The tree is known by its fruit.
Darakht apne phal se pehchana jata hai.


100 Between two stools you fall to the ground.
Do gharon ka Mehman bhooka rehta hai.


101. Better low than be broken.
Jhuk Jana toot janay se behtar hai.


102. Beggars can't be choosers.
Maangne walay ko Intekhab ka haq nahi.


103. Better an egg today than a hen tomorrow.
Aaj ka saag kal ke Murg se acha hai.


104. Half a loaf is better than none.
Poori Na sahi Aadhi sahi.


105. Forbidden fruits are sweet.
Choori ki cheez bari mazedar hoti hai.


106.  A sweet tongue is a good weapon.
Zubaan sheereen mulk geeri.


107. When the old cock crows the young cocks follow.
Barron ki Aadatein chhoton ko parti hain.


108. Much cry, little wool.
Rat bhar rotay rahe mara koi bhi nahi.


109. It takes two to make quarrel.
Taali dono hathon se bajti hai.


110. A drowning man catches at a straw.
Doobtay ko tinkay ka sahara.


111. A bird in hand is better than two in the bush.
Hath mein aya aik parinda jhari mein bethe do se behtar hai.


112. A burnt child dreads fire.
Doodh ka jala chaach bhi phook phook kar pita hai.


113. A little  knowledge is a dangerous thing.
Neem hakeem khatra-e-jaan.


114. An empty vessel sounds much.
Khali bartan zayada shor karta hai.


115. As two kings, so are the subjects.
Jesa badshah wesi paraja.


116. Do good and caste it in the river.
Naiki kar darya mein daal.


117. Evil got, evil spent.
Haram paisa haram kaam mein he jata hai.


118. Every potter praises his pot.
Har admi apni cheez ki tarif karta hai.


119. Man proposes, God disposes.
Insan sochta kuch aur hai aur hota kuch aur hai.


120. The wearer best knows where the shoe pinches.

Jis ko taklif ho wohi janta hai.

Post a Comment

We are pleased to see you here! Please mention your suggestion or query in the comments box below.