List of English Proverbs With Roman Urdu

331. The goat made her life waste, still the eater had no taste.
Bakri jan se gai khane wale ko maza na aya.

332. How long can you escape the inevitable?
Bakre ki maa kab tak khair manaye gi?

333. Quarreling is a shameful act.
Billi bhi larti hai to munh par panjah dhar leti hai.

334. A cat to guard the meat.
Billi se chhichharon ki rakhwali.

335. The cat dreams of tripe.
Billi ke khawab mein chhichhre.

336. An uninvited guest sits on thorns.
Bin bulae mehman ki qadar nahi hoti.

337. A bad man's connection spoils reputation.
Bandar ki dosti ji ka janjal.

338. To err is human.
Banda bashar hai.

339. The rich have many friends.
Bani ke sab yaar hain.

340. In good days all hold you dear; in adversity none comes near.
Bani ke sab sathi bigri ka koi nahi.

341. A grocer eats even his own sweet in privacy.
Banya apna gur bhi chhupa kar khata hai.

342. An old woman in a gay dress.
Burhi ghori laal lagam.

343. He who bids, he pays.
Bole so mara jaye.

344. Kings never know the market price.
Bhao na jane Rao.

345. A brother is the best friend, a brother is the worst foe.
Bhai jesa dost nahi bhai jesa dushman nahi.

346. Great show, an empty pocket.
Bharak bhari, khisa khali.

347. As daughter-in-law, her love fled.
Bahu rahi kunwari, saas rahi wari, bahu aai biyahi, pari gai tabahi.

348. A hungry man is an angry man.
Bhuka so rukha.

349. The famished all things dare.
Bhuka marta kya na karta.

350. Hunger is the best sauce.
Bhook mein kiwar papar.

351. Errors and omissions excepted.
Bhul chuk leni deni.

352. Fed on scraps of alms, he belches in the streets.
Bhik ke tukre bazar mein dakar.

353. A beggar, and scowl!
Bhik maange aur ankh dikhawe.

354. Be not idle; do something or other.
Be kar mabash kuch kiya kar; kapre he udher kar siya kar.

355. Fools have no horns over their heads.
Be waquf ke sar par kaya sing hote hain.

356. If it has not happened to me, have I not seen it happen to others.
Biyah nahi kiya baratein to dekhi hain.

357. The sick man's night is as a mountain.
Bemar ki rat pahar barabar.

358. All are not alike.
Pancho ungliyan barabar nahi hoti.

359. Make the best of an oppurtunity.
Pancho ungliyan ghee mein hona.

360. Put in one's own claim.
Pancho sawaron mein naam likhwana.

Post a Comment

We are pleased to see you here! Please mention your suggestion or query in the comments box below.